Discovering the Count of Messengers and Prophets Sent by Allah: A Comprehensive Guide

 Discovering the Count of Messengers and Prophets Sent by Allah: A Comprehensive Guide – Ummi Fai

Kya aapko pata hai ki allah talah ne duniya mai kitne rasool aur nabiyo ko bheja tha?

To well iska answer ye hai ki na to quran majid mai allah talla ne hame exact number diya hai or naahi kisi sahi hadees mai. Quran majeed mai 25 nabiyo ke naam aye hai, iske alawa baki nabi bhi hai ye to jikr ata hai par kitne hai uske barey mai kuch nahi bataya gaya hai.

lekin aapne aksar famous Muslim scholars se suna hoga ki dunia mai kamobesh 1 lakh 24 hazar nabi or unhi mai se kamobesh 313 ya 315 rasool aye the,

Popular scholars and motivational speakers ki video source link

Sayyed Aminul Qadri

Dr. Zakir Naik

Sahil Adeem ( Time Stamp 08:24 )

ye kahan likha hai ye bhi mai aapko bata deta hai

Ye likha hai a hadees

Read hadith on this page & scroll down to 21257

Musnad Imam Ahmad Hadith number 21257


Read hadith on this page

Ibn Hibban Hadith number 361


Read hadith on Islam 360 mobile app

Mishkat number 5737

Read Hadith on this page

Hadees mai likha hai

हज़रत अबू-ज़र (रज़ि०) बयान करते हैं कि मैंने कहा : अल्लाह के रसूल! सबसे पहले नबी कौन थे? आप ﷺ ने फ़रमाया : आदम (अलैहि०)। मैंने कहा : अल्लाह के रसूल! क्या वो नबी थे? आप ﷺ ने फ़रमाया : हाँ, ऐसे नबी थे जिनपर सहीफ़ा नाज़िल किया गया था। मैंने कहा : अल्लाह के रसूल! रसूल कितने थे? आप ﷺ ने फ़रमाया : तीन सौ और दस से कुछ ऊपर का जिम ग़फ़ीर था। और अबू-उमामा (रज़ि०) की रिवायत में है, अबू-ज़र (रज़ि०) बयान करते हैं कि मैंने कहा : अल्लाह के रसूल! नबियों की कुल तादाद कितनी है? आप ﷺ ने फ़रमाया : एक लाख चौबीस हज़ार, उनमें से रसूलों की तादाद तीन सौ पन्द्रह एक जिम ग़फ़ीर है। अहमद

Ye hadees parne ke baad to ye baat wazey ho jati hai ki allah tala ne duniya mai kitne nabi or rasool bheje the, to well mera answer hai nahi

Allah tala ne kitne nabi ya Rasool bheje the ye baat clear nahi hoti kyunki ye sari hadeese weak hai or inhe zaef ki grading di gayi hai. Zaef hadeeso mai di gayi jankari authentic hosakti hai lekin chain of narration mai weak ravi ke hone ke karan ham ise sahi ka darza nahi desakte.

lekin ye mozu category mai bhi nahi ati ki hum in hadeeso ko thukra de, mera khayal hai ki kyunki kisi sahi hadees mai nabiyo ka sahi number nahi bataya gaya hai to is zaef hadees mai diye gaye digit ko maan lene se hamare deen mai kisi tarah ka nuksan nahi pahochta islie ulema hame kamobesh 1lakh 24000 hazar pegumbar or kamobesh 313 ya 315 rasool the esa batate hai.

phir bhi ho skata hai mujhse is topic ke regarding koi baat mis hogayi ho, hosake to mujhe comment karke zarur bataye ki is zaef hadees mai diye gaye digits ko kyu athentic manna chahiye. Aajke liye itna hi phir milenge

Discovering the Count of Messengers and Prophets Sent by Allah: A Comprehensive Guide



Post a Comment

Previous Post Next Post